WhatsApp Me Export Chat Kya Hai
Agar tum ye janna chahte ho ke "WhatsApp mein export chat kya hai" to is article mein main detail se bataunga, end tak parhna, taake ache se samajh pao. Aur, iske sath hi pictures bhi add karunga, taaki behtar se behtar samajh sako.
WhatsApp Mein Export Chat Kya Hai
WhatsApp mein export option jo hai, isse aap apne contacts mein se kisi bhi shakhs ki chats, videos, pictures, voice messages aur files export karke kahin bhi save aur kisi ko bhi send kar sakte ho.
WhatsApp Mein Export Chat Ko Istemal Kaise Karen
Sabse pehle aapne WhatsApp khol ke jis shakhs ka bhi chat export karna hai, uska DM kholo.
Uske baad upar teen dots honge, uspar click karo. Click karne ke baad akhir mein end ka option hoga, uspar click karo ge.
Export chat likha hua ajyega.
Akhirkaar, export chat par click karne se 2 aur options aayenge, unme se aik par click karke chats export kar lo.
WhatsApp Mein Export Chat Mein Without Media Aur Include Media Mein Farq
WhatsApp mein export chat mein chat export karne ke waqt 2 options aate hai: without media aur include media. Isme farq ye hai ke agar without media par click karo ge to bas chats hi export kar paoge, lekin agar include media click karo ge to chats, videos, pictures, voice messages aur files bhi export kar sako ge.
WhatsApp Mein Export Chat Ke Fayde
Misaal ke tor par, agar apka dost apko kehta hai ke apne kisi dost ki chats bhejo to aik aik send karo ge to time lag jayega, issliye export karke 1 hi waqt mein saari chats bhej sakte ho, jisse waqt aur takat dono bach jayengi. Aap chats ko backup ke tor par bhi rakh sakte ho. Esi surat mein, jab aap WhatsApp delete karna chah rahe ho, uss time pehle chats ko export karke doosre device mein bhi bhej sakte ya apne hi mobile mein backup rakh sakte.
WhatsApp Mein Export Chat Ki Hai
Had itni hai ke agar with media export karoge to 10,000 se zyada export kar paoge aur agar without media export karo ge to 40,000 tak ke messages export kar sako ge.
WhatsApp Mein Export Chat Ka Istemal Karke Chats Kahan Export Kar Sakte
Export karte waqt bohat sare options aasakte hain, yeh depend karta hai aap ke paas konse apps hain. Barhal, aap Google Drive par upload kar sakte aur private rakh dena, taake bas tum hi parh sako. Ya WhatsApp mein group banao, jisme sirf tum hi ho, wahan saari chats export kar sakte.
Iss tarah karne ke liye WhatsApp group banane ke liye jaise ke 2 members kam se kam hone lazmi hain. To kisi ko add karke usse remove kardena, phir bas tum hi reh jao ge, aur phir export karlena chats wahan. Aur koi parh bhi nahi sakega.
Comments
Post a Comment